Labels

monstica (1)

Search This Blog

Wednesday, February 15, 2012

Ye mera koi khwab tha ya tera khayaal tha,
Ye tera koi jawaab tha, ke mera sawaal tha,

Shareeq-e-mehfil-e-yaar ho gaye the hum
Wo... jo aalam tha, woh bemisaal tha.

Har zarre se aa rahi thi khushbu-e-muhabbat
Ye muzpe hua asar tha ke tera kamaal tha

Yu to aasmaani roshni se tha roshan hua sama
Jisse roshan hue the dil wo tera jamaal tha

Khuda bhi na kabhi tha is qadar khush hua
Ashq-e-khushi se hua ek chaman khush-haal tha

The aasma pe baadal, par dil the sabhi yaqeeni
Na kisise tha koi shikva, na kisika malaal tha

Yaad aa gaye the zindagi ke pech tab muze
Bikhra khuli hawaa pe jo kisika baal tha

Us raah ka har mod is zindagi se milta laga
Ke dekhnewale the has rahe, raahi behaal tha

Is pal ko chhupa dil mein ziyaad ye hai saboot
Ke tera dil bhi kabhi muhabbat ka yarghmaal tha

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

"Jism ke har kone se, Khushboo Tumhaari aaTi hai..
Jab bhi Tanha hoTi hun, Yaad Tumhari aaTi hai.. "

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

"Ho gaye Tumse juda, KiTne badnaseeb hain hum..
Rootha humse aaj humara khuda, KiTne fakeer hain hum.."

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj phir usi chhaT pe khadi hun main..

Aaj phir usi shaks ka inTzaar kar rahi hun main...

Isi mukaam pe mila karTe The kabhi..

Aaj phir uski raah dekh rahi hun main...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ 

No comments:

Post a Comment