Labels

monstica (1)

Search This Blog

Wednesday, February 15, 2012

Chehraa apna dekhte hai aaine mein voh,
Aur yeh bhi dekhte hai, koi dekhta na ho

Apni duaa mein sirf mujhko maangte hai voh,
Aur yeh bhi maangte hai, koi maangta na ho
Gore badan se unka aanchal zara sa dhalka
Jaaga mere seene mein koi dard halka halka
Mujhko pata hai mujhse voh pyaar kar rahe hai
Phir bhi na jaane kyoon kehne se darr rahe hai

Har lamha mere baare mein sochte hai voh,
Aur yeh bhi sochte hai, koi sochta na ho

Khamosh hai zubaan lekin aankhein bolti hai
Dhadkan mein jo hai chhupa voh raaz kholti hai
Unki isi adaa ne deewana mujhe kar diya hai
Saare jahaan se begaana dekho kar diya hai

Bas mujhko dil-o-jaan se ab chaahte hai voh,
Aur yeh bhi chaahte hai, koi chaahta na ho.  

No comments:

Post a Comment