Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai, kagaz ki haveli hai baarish ka zamana hai..
Kya shart-e-mohabbat hai kya shart-e-zamana hai, awaaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai..
uss paar utarne ki umeed bahut kam hai, kashti bhi purani hai toofan ko bhi aana hai..
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke, ek shaqs ko ankhon se haal-e-dil sunana hai..
Bholi si ada koi phir ishq ki zid par hai, phir aag ka dariya hai phir doob ke jaana hai..

No comments:
Post a Comment