Labels

monstica (1)

Search This Blog

Wednesday, February 15, 2012

daam e ranjish mein na uljhana e dost,
zindagi ka naam nafrat nahi mohabbat hai e dost,

kaid zulfano mein raho ya dil mein girfatar raho,
saja e ishq mein na mafi na zammanat hai e dost,

yun toh kuch nahi yeh par anmol ban jaate hain,
kyunki yeh shabd uski bewafiyon ki aamaanat hai e dost,

toot chuki hoon mein usne itne sitam kiye hai,
bas do ghadi ki uski wafein aaj bhi magar meri himmat hai e dost,

kismat se hamesha yun toh shikayat rahegi ki use pa na sake kabhi,
bas ek baar is roothi kismat ko manane ki chahat hai e dost,

haqeekaton se hanesha harati aai hoon phir bhi lad rahi hoon,
kyunki yeh tasbuur hi hamari takat hai e dost,

pathar sa ban gaya hai mera khuda,
haan badi nakam meri ibaddat hai e dost,

khwashion ko meri kore paano ko chumane ko milta hai,
yeh toh mere ehsaason ki mujhpe inayyat hai e dost,

dosti ke zamane kal yaadon mein badal jaayenge,
bas is bewafaa zamane ki itni si haqeekat hai e dost,

is rishtey se aage, tu do kadam aur chalke aa,
is rishtey ko mein rooh mein utar doon, bas itni si hasrat hai e dost. 

No comments:

Post a Comment