Labels

monstica (1)

Search This Blog

Wednesday, February 15, 2012

Ae jindgi! Aab hamne tujhe aajmana seekh liya,
Aise halat ki hai,hamne khud par muskurana seekh lia…

Yun to bahut dekha hai dukho ko hamne,
Par jab dekha dukho ko to hum ne khud par hi rona seekh lia…
Ae jindgi! Aab hamne tujhe aajmana seekh liya…

Chahte toh hum bhi tumhe badi muddaaton se hai,
Par jab kiya haal- e-dil byan,toh humne bhi gungunana seekh lia…
Ae jindgi! Aab humne tujhe aajmana seekh liya…

Yun toh humen na tha apni kismat par vishwas,
Par tumse pyar karke humne use bhi aajmana seekh liya…
Ae jindgi! Aab humne tujhe aajmana seekh liya…

Ae jindgi! Aab hamne tujhe aajmana seekh liya,
Aise halat ki hai,hamne khud par muskurana seekh lia…

******************************************************
Jaane kyon, aaj kuch karne ko jee karta hai,
Dil ki kalam utha kar kaagaj par,
Jaane kyon, aaj unhen khat likhne ko jee karta hai..

Ashko ka mausam hai aaj aankhon me apni,
Par phir bhi yadoon ko samet kar bhethne ko jee karta hai,
Jaane kyon, aaj unhe khat likhne ko jee karta hai..

Unn yaadon se rooh aaj bhi kaap uthti hai hamari,
Par phir bi kapkpati ungliyon se kalam uthane ko jee karta hai,
Jaane kyon, aaj unhe khat likhne ko jee karta hai..

Kalam hathon se chooth jata hai har baar hamare,
Par phir bhi umngo ki kaliyo se kalam uthane ko jee karta hai.
Jaane kyon, aaj unhe khat likhne ko jee karta hai..

Koi parwaah nahi hai aaj unhe hamare jajbatoin ki,
Par phir bhi haal-e-dil khat me unhe byan karne ko jee karta hai
Jaane kyon, aaj unhe khat likhne ko jee karta hai..

Kuch bhi nahi hai aab hamare do dilon ke beech me,
Par phir bhi khat padkar aashk bahane ko jee karta hai.
Jaane kyon, aaj unhe khat likhne ko jee karta hai..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~`


khusi mili hans na sake
gam mile ro na sake
zindgi ka yahi dastoor hai
jise chaha use pana sake , or
jise paya use chaha na sake 

No comments:

Post a Comment