Labels

monstica (1)

Search This Blog

Wednesday, February 15, 2012

Bahut se faaslen aise hain jinko kam nahi karta
Main tumko chahta to hun magar jahir nahi karta

Simat jaata hun chahe main andheron ke shikanje main
Tumhari yaadon kee lao ko kabhi maddham nahi karta

Khijayen, bijliyan tufaan sab kismet kee baaten hain
Gharon ko todne ka kaam koi mausam nahi karta

Mujhe bhaane lagi aei jindgi pecheedagi teri
Tujhe uljha to leta hun magar fir hal nahi karta


*************************************************
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



Lutf voh ishq mein paye hain ki jee jaanta hai
Ranj bhi aise uthaye hain ki jee jaanta hai

Jo zamaane ke sitam hain, voh zamaana jaane
Toone dil itney sataaye hain ki jee jaanta hai

Tum nahi jaante ab tak yeh tumhare andaaz
Voh mere dil mein samaye hain ki jee jaanta hai

Inheen kadmon ne tumhare inheen kadmon ki kasam
Khaak mein itney milaye hain ki jee jaanta hai

Dosti mein teri darpardaa hamaare dushman
Is kadar apne paraye hain ki jee jaanta hai 

No comments:

Post a Comment