Labels

monstica (1)

Search This Blog

Wednesday, February 15, 2012

Mere Dard ki dawaa hai meh
Ab naa kahi hai mera aana jana
Main hu ek sharaabi
Mera ghar hai mehkhaana


Jisse wafa ki umeed thi mujhko
Jo mera apna tha
Jiske pyaar k sahare hi main jeeta tha
Mili hai usi se hi ulfat Wo hua anjana
Main hu ek sharaabi
Mera ghar hai mehkhaana


Peelayi thi sharaab usne mujhe apni aankho se
Nashe chhur kar k mujhe yu akela chhoda hai
Ab naa koi apna hai Har koi hai begana
Main hu ek sharaabi
Mera ghar hai mehkhaana


Rasham-a-mohabbat bhi usne kya khoob nibhaayi hai
Mere dil mein rehkar hai ki usne yu tabhaayi hai
Naa koi ghar hai ab mera Naa koi thikaana
Main hu ek sharaabi
Mera ghar hai mehkhaana


Mere Dard ki dawaa hai meh
Ab naa kahi hai mera aana jana
Main hu ek sharaabi
Mera ghar hai mehkhaana


****************************************
****************************************

Teriaankhon ke jadoo se nikal jaata to achcha tha,
khird ka thaam ke daaman sambhal jaata to achcha tha.
mandraati nahi titliyan bhi ab to teri yaadon ki,
jo mausam mere dil ka bhi badal jaata to achcha tha.
un to paas hain mere teri tasviren tehriren,
jo in kaghaz ke tukdon se dil behel jaata to achcha tha.
tera dard teri shayri mei basta hai "MUNTAZIR",
jo aansoo bankar aankh se nikal jaata to ahcha tha. 

No comments:

Post a Comment