Labels

monstica (1)

Search This Blog

Wednesday, February 15, 2012

Neend ne aankho se jo palko ko uthaya hai
koi dil - nasheen dil ko bohot yaad aaya hai

Waise to yaad uski roz hi aati hai lekin
aaj to jaise ek tufan simat aaya hai

Pyaar ki matlab badla hai uske aane se
subha haseen sham rangeen huwi lagti hai uske aane se
sang apne wo jaise ek indra dhanush (rainbow) layie hai

Bholi bhali surat uski,baatein mithi mithi hai
apne chanchal andaz se usne duniya sari jeeti hai
lagta hai mujh ko bhi apne rang me, rang ne aayie hai

Har pal mujhko chidati (Tease) hai,har pal mujhe satati hai
bigdu to manane ke liye piche piche aati nahi, phir bhi
uska sath se lagta mujhko ye jahan paraya hai

Sunehri zulfein chikni surat aankho me ek masti hai
sochu uske baare me to tanhai mujh ko dhasti hai
chahat uska, mujh par ajab khumar chaya hai

Iqraar karna aata nahi, inqaar woh kar pati nahi
dur rehna chahe bhi to mujhse woh reh pati nahi
kehti hai maine usko apni jaal mein phasaya hai

Neend ne aankho se jo palko ko uthaya hai
koi dil - nasheen dil ko bohot yaad aaya hai  

No comments:

Post a Comment