Labels

monstica (1)

Search This Blog

Wednesday, February 15, 2012

hansate hansate aankhon mein aansoo bhar gaye,
ek pal kabhi mile nahin bas marte marte zindagi mere naam kar gaye,

chand pal jeena chahati thi uske saath woh toh de na saka,
bas aakhri kuch bachi saansoon ki wasiyat mere daman mein bhar gaye,

umeedon ki hasraton ne bas aarzoo hi ki thi muskurane ki,
ki meri hansi se woh nazuk toote hue armaan dar gaye,

kuch is tarah bikhare gaya woh meri zindagi apni bewafiyon se,
ki mere dabe hue saare arman sanwar gaye,

hum dono wafa bewafiyon ke har mod se guzar gaye,
bas ehsaason ke woh raaste wahin thahar gaye,

woh ja ja kar zindagi se , laut ke aata raha,
bas isi ek haqeekat se mere dard ke muaqddar nikhar gaye,

samet rakhe the deewaron ne apne ansoo use dikhane ke liye,
woh chod gaya hai duniya mere liye bewafiyon ka tofhe banakar bas uski isi wafa se bejan deewaron ke aansoo bikhar gaye,

kaha tha maine ki uske baigaar zindagi nahin guzar sakti,
par pata na pada uski judaai mein yeh saal kaise hanste rote guzar gaye, 

No comments:

Post a Comment