Labels

monstica (1)

Search This Blog

Wednesday, February 15, 2012

Wohi dard phir se ubharne lage hain
Kaleje men nashtar utarne lage hain

Chupaaye the hum ne jo palkon pe moti
Wohi toot kar ab bikharne lage hain

Andhere se seena sapar the jo kal tak
Wo apne hi saaye se darne lage hain

Udaasi ki saughaat dekar hamen wo
Judaai ka saamaan karne lage hain

Jo bharte the dam dosti ka hamesha,
Wo baton se apni mukarne lage hain

Asar hai mere khoone-dil ka ye shaayad
Ke ash'aar itne nikharne lage hain

Tumhe kya zaroorat hai kaajal ki ‘Mona’
Ke gham rang aankhon me bharne lage hain.

**************************************************
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

***************************************************


Giley fuzool they ehde-wafaa ke hote huay
So chup rahaa sitam-e-naarvaa ke hote huay

Yeh kurbatoan mein ajab faasle padey ki mujhe
Hai aashnaa ki talab, aashnaa ke hote huay

Woh heelagar hain, jo majburiyaan shumaar karein
Chiraagh humne jalaaye havaa ke hote huay

kar kisi pe bharosa ke kashtiyaan doobien
Khuda ke hote huay, nakhudaa ke hote huay

Kisey khabar hai ki kaasa-ba-dast phirte hain
Bahut se loag saroan par humaa ke hote huay

‘Faraaz’ aise bhi lamhe kabhi kabhi aaye
Ki dil giriftaa rahaa, dilrubaa ke hote huay 

No comments:

Post a Comment