un kale kiye paano ko phir palatane ko jee chahata hai,
aaj khud se mera ladne ko jee chahta hai,
yun toh un galiyon mein dard ke siwa kuch nahi mila mujhko,
aaj unhi lamho ke raaston se gumshuda ho kar guzarane ko jee chahata hai,
kinaron par toh nahiwoh toofano mein mera saath nibhata hai,
ro rokar in kinaron ko aaj rokane ko jee chahata hai,
mujhko khabar hai ek masoom chingari hai mohabbat jo ek din mujhko jala degi,
aaj uske pyar ki aag mein khud ko jhokane ko jee chahata hai,
uski nazayaz chahaton ne hamari mohabbbat ko kahin ka nahi rakha,
is giri hui mohabbat ko phir ek bar uthane ko jee chahata hai,
thand si lagti hai mere chehre ko aansoon ke geelepan se,
in aashkon ko sardiyon ki dhoop mein sookhone ko jee chahata hai,
woh lash ko meri bahon mein le lekar ghoomta hai,
har janam mein yun hi soye rehne ko jee chahata hai,
woh mila aaj barsaon baad lekin kuch kami si hai,
bas aab is pal ke baad hamesha ke liye bichad jaane ko jee chahata hai,
hum dono tanha hai koi nahi is ghar mein,
is raat mein bas yanhi thar jane ko jee chahata hai,
badi mushkil se sanwari hoon mein kai baar tootne ke baad,
chand pal uske saath guzar kar phir bikhar jane ko jee chahata hai.